Sunday, January 6, 2013

A tribute to Delhi Girl who was a Rape Victim !!


Maa Eee Maa,

Yeh duniya bahut zaalim ho chuki hai,
Har insaan sirf aapne matlab ke liye soch raha hai,
Aaz mien uppar hi uppar khush hu par dil andaar se roh raha hai..

Mee Eee Maa..

Har woh insaan joh mujhe izaat dena nahi janta,
Woh yeh nahi jaanta ki usne uske maa aur behan ki kitni izaat ki,
Har woh insaan joh mujhe na chahte hue bhi gandagi mien lapetta hai,
woh yeh nahi jaanta ki usne is dharti mata ki kitni izaat ki...

Maa Eee Maa...

Har subah jab mien ghar se bahr hu nikalti,
tab pata hai mujhe mien andar hi andar kitna hai darti,
Papa ko bhi hamesha iss baat ka khayal hai rehta,
ghar aate waqt unke man mien chinta bhara rehta,
Maa har ghante mien mere phone aane ka intazaar karti,
bhai hamesha mujhe phone karke sirf yeh puchta rehta,
Ki chutki kahan hai tu, kaisi hai tu, sab thik hai na ?

Maa Eee Maa...

Yeh dharti par kab honge ladkiyo pe jurm khatam,
kab jee sakhenge hum sab mil ke aur baat sakenge gam,
kisi ko gam batane jao toh faida lete aaj ke ladke,
aandar se samajhte nahi kya samjhate hai yeh ladke,
aaj dar bhara hua hai mere man mien mujhe khud ko lekar,
Kya mien wahi desh mien rehti hu jisme mantri ji hai kisi aur ke jeb ke aandar,
aaj kyu nahi lag raha koi paaband in ladko pe,
aaj kyu nahi ban rahe kanun in gandi harkato pe,
aab nahi dekha jata yeh sab mujhse,
jeena hai mujhe iss desh mien pure hak se,
De shakti tu mujhe aur bana mujhe itna bahadur,
Ki koi bhi mujhe chu na sake, kardu mien usko chakna chur,
yeh mantri aur kanun kab jaane bane,
lekin mien aab badal gayi hu isliye ladke sawdhan rahe,
isliye ladke sawdhan rahe, isliye ladke sawdhan rahe.. ... ....

Maa Eee Maaa !!!!